Sunday 9 February 2020

AANGAN ME GAAI

Aei Kuhda mei kya karu, tune mujhe aeisa hi bananya hai
Main Ram ko Rahim me dhundhata hoon 
Aur Rahim mere paas beitha hai

Har din aangan me ek Gaai aati hai
Dadi use tilak lagati hai
Roti khilati hai
Do paise ka ghaas khilati hai
Uski poonchh aankhon se lagati hai
Mere maathe pe lagati hai
Phir Dadi kahati hai
"Beta! Gaai mata kp pranam karo"
Mai bola: "Kyun? Mere maa to andar hai?"
Dadi boli: "Nahi beta, aeisa nahi kahati. Gaai ko mata kahate hai"
Mai bola: "Par kyon?
Dadi boli: "Kyon ki Gaai hame dhoodh deti hai"
Mai bola: "Gaai mata, aap hame dhoodh deti hai, mei aapko pranam karata hoon."

Dursare din aangan me ek Bhens aayee
Maine oose tilak lagaya
Roti khilayee
Phir main dadi ke paas gaya aur bola: "Dadi mujhe do paise do"
Dadi boli: "Kyon?"
Main bola: "Aangan me badi maa aayee hai, oose ghaas khilani hai".
Dadi boli: "Main dekhu, kaun si badi maa aaye hai."
Dadi aangan me aaye aur Bhens ko dekha
Dadi boli: "Ye to Bhens hai. Ye badi maa nahi hai."
Main bola: "Par dadi yeh bhi to dhoodh deti hai."
Dadi boli: "Deti hai par yeh badi maa nahi hai."

Main sochane laga: "Gaai dhoodh deti hai to oose Gaai mata kahate hai to Bhens ko kyon nahi? Woh bhi to dhoodh deti hai?"

Aei Kuhda mei kya karu, tune mujhe aeisa hi bananya hai
Main Ram ko Rahim me dhundhata hoon 
Aur Rahim mere paas beitha hai